Jeene Ke Bahane Lakhon Hain Lyrics | Khoon Bhari Maang

Lyricist : Indeevar
Music Director : Rakesh Roshan , Rajesh Roshan
Singer : Asha Bhosle
                        
                        Jeene ke bahane lakhon hai
Jeena tujhko aaya hi nahi
Koi bhi tera ho sakta hai
Kabhi tune apnaya hi nahi
Jeene ke bahane lakhon hai
Jeena tujhko aaya hi nahi
Koi bhi tera ho sakta hai
Kabhi tune apnaya hi nahi

Kyun dil mein tere araman nahi
Duniya itni viran nahi
Kyun dil mein tere araman nahi
Duniya itni viran nahi
Har taraf ujale hai phir bhi
Har taraf ujale hai phir bhi
Tere sath koi saya hi nahi
Koi bhi tera ho sakta hai
Kabhi tune apnaya hi nahi
Jeene ke bahane lakhon hai

Kya gham hai jiska ilaaj nahi
Kal na tha agar kya aaj nahi
Kya gham hai jiska ilaaj nahi
Kal na tha agar kya aaj nahi
Har gham ka marhum hota hai
Har gham ka marhum hota hai
Dil tune dikhalaya hi nahi
Koi bhi tera ho sakta hai
Kabhi tune apnaya hi nahi
Jeene ke bahane lakhon hai

Tu dhundhe kahin jo karar mile
Kisi mod pe bhi jo pyar mile
Tu dhundhe kahin jo karar mile
Kisi mod pe bhi jo pyar mile
Pyase ko jana padta hai
Pyase ko jana padta hai
Sagar chal ke aaya hi nahi
Koi bhi tera ho sakta hai
Kabhi tune apnaya hi nahi
Jeene ke bahane lakhon hai
Jeena tujhko aaya hi nahi
Koi bhi tera ho sakta hai
Kabhi tune apnaya hi nahi
Kabhi tune apnaya hi nahi
Kabhi tune apnaya hi nahi.