Khwab ko badal denge hakikat me
Hum khwab ko badal denge hakikat mein
Milke rahenge dono armano ki jannat mein
Hum apne khwab ko badal denge hakikat mein
Hum khwab ko badal denge hakikat mein
Chhota sa ek ghar hoga
Han chhota sa ek ghar hoga
Aur ghar mein honge sawle salone
Hanste bolte khilaune
Hum do hamare do nahi nahi
Mere liye do tumhare do
Kat jayega ye jivan unhi ki hifajt mein
Hum apne khwab ko badal denge hakikat mein
Hum khwab ko badal denge hakikat mein
Kabhi kabhi bite dino par jab jayegi nazar
Ho sochenge kitne hasin the vo sham vo shahar
Ho sochenge kitne hasin the vo sham vo shahar
Nit aayengi bahare nit khilenge phool suhane
Ho ho ho nit aayengi bahare
Nit khilenge phool suhane
Yu hi rahenge jamano
Tak khushiyo ke jamane mein
Hum tum juda na honge ab to kisi surat mein
Hum apne khwab ko badal denge hakikat mein
Hum khwab ko badal denge hakikat mein