o re jamane dekh liya
tera jamana ha tera jamana
o re jamane dekh liya
tera jamana ha tera jamana
hans hans ke tujhe aata hai
dukhiyo ko rulana dukhiyo ko rulana
o re jamane dekh liya
tera jamana ha tera jamana
janta ke mere dil ke tune tar tar tode
dukh dard mein rone ko do aansu bhi nahi chhode
charo taraf se lut gaya kya mere pas hai
ye tuta sa ek tara mere dil ki aas hai
hai aansuo mein tuta hua mera tarana
bedard jamana o re jamane dekh liya
tera jamana ha tera jamana
aaya tha phul banke main duniya ke chaman mein
ab jata hu lipta hua mitti ke kafan mein
bekas ke aansuo se bhara tera khajana
bedard jamana o re jamane dekh liya
tera jamana ha tera jamana
ae duniya bata ae duniya bata
tujhme hai imaan nahi kya
insaan tere dil mein bhagwan nahi kya
insaan tere dil mein bhagwan nahi kya
nirdhan ki bali tujhko jholi deke pukare
o re jamane dekh liya
tera jamana ha tera jamana