Teri Tasveer Bhi Tujh Jaisi Lyrics | Kinare Kinare

Lyricist : Nyaya Sharma
Music Director : Chetan Anand , Jaidev
Singer : Mohammed Rafi
                        
                        teri tasvir bhi tujh jaisi hasi hai lekin
is pe kurban meri jan hazi hai lekin
ye meri jakhmi umango ka madawa to nahi

hale dil is but-e-kafir ko sunau kaise
iske ruksaro ki shadagi ko chedu kyukar
iske hotho pe tapassum ko jagau kaise
teri tasvir bhi tujh jaise hasi hai lekin

jabt ki taab na kahne ka salika mujh ko
uspe ye julm ke khamosh hai tasvir teri
ghut ke mar jau magar kisi ko khabar tak bhi na ho
kaise chattan se takrai hai takdir meri
yahi tasvir tasubr me utar jane par
chand ki kirano se go badhke nikhar jati hai
dard palko se lipat jata hai aasu ban kar
mere ahsas ki dunia hi bikhar jati hai
isliye tere tasabur se nahi
khud tujhse iltiza karta hu bas itna bata de mujhko
kya mere dil ki tadap ka tujhe ahsas bhi hai
kya mere dil ki tadap ka tujhe ahsas bhi hai
warna fir meri hi wahshat me sula de mujhko

teri tasvir bhi tujh jaisi hasi hai lekin
is pe kurban meri jan hazi hai lekin
ye meri jakhmi umango ka madawa to nahi.