goree ke hatho me mehandi lagao, uptan se ang ang mehkao
chanda jaise mathe pe jhumar sajao
hirowale motiwale kangana pehnao
goree ke hatho me mehandi lagao, uptan se ang ang mehkao
aa gaya aa gaya, whi din aa gaya
mere suni si raato ne dekha tha jis din ka
sapna sajana sajana sajana sajana
aa gaya aa gaya whi din aa gaya
jis din leke dolee tere angna aayenge sajana
sapna sajana sajana sajana sajana
fulo se khusbu kaliyo si rang leke
sajna ki sajni saji haule haule
hoton pe lali rachi haule haule
aanchal se hai jhalakta gori ka rup jaise
badal se chan rahi ho, subah ki dhup jaise
sajni tujhko jis pal tere sajna dekhenge
mehendi wale pairo par dil apna rakh denge
aa gaya aa gaya whi din aa gaya
jis din aayegi ek chand si doli tere aangna
aangna, sajana sajana sajana sajana
more angana sajana aayo re
more angana sajana aayo re
mai prit jo apni payo re
mai toh jaise baurayi gayee
mai toh jaise baurayi gayee
tan jhum gayo mann gayo re
tan jhum gayo mann gayo re
tan man me se jaise koi jwala si behati hai
pighle hai ang ang dhime dhime, chaya hai mera rang dhime dhime
jalte hai hoth mere kaisee hai pyas jagee jagee jagee jagee
ankhon mai hai dhuaa, mann mai hai agni lagee lagee lagee lagee
saanson mai kaisi aandhi hai, kaisa tufan hai
betabi bechaini hai teraa hi arman hai
aa gaya aa gaya whi din aa gaya
jis din ke liye pal pal gin gin ta tha man
mera, sajana sajana sajana sajana
haryali banni ke, haryali banne
raste me tere piche hire motee panne
banna bannee duneeya ke sare sukh pave
fulo woh phale aur dudon woh nahaven
haryalee bannee ke, haryalee banne
raste me tere piche hire motee panne
kisna mere kisna