jab tum nahi to chand sitare mai kya karu

ye phul ye chaman ye nazare mai kya karu

kal tak hawa me khel rahi thi yaha hansi

charo taraf hai chhai huyi aaj bekasi
dil ro raha hai gam me tumhaare mai kya karu
ye phul ye chaman ye nazare mai kya karu
jab tum nahi to chand sitare mai kya karu
tum kya gaye ke jaise chaman se gayi bahar

har chij ko yaha ki tumhara hai intzaar
meri traha udas hai sare mai kya karu