Welcome Entertainment Lover’s

Chanda Suraj Ki Jyoti Ban Lyrics | Krishna Krishna

                        chanda suraj ki jyoti ban
chamak rahe aaksah me
krishan sudama jaisi koi
katha nahi itihas me
amar mitrta ki misaal hum kahi na pate hai
amar mitrta ki misaal hum kahi na pate hai
krishan sudama ke jivan ki jhalak dikhate hai
sudama din hin kangal
krishan dukhiyo ke din dayal
amar mitrta ki misaal hum kahi na pate hai
o krishan sudama ke jivan ki jhalak dikhate hai
sudama din hin kangal
krishan dukhiyo ke din dayal
janam liya bhagwan krishan ke kans ke karagar me
palne lage nand ke aangan
maa yashoda ke pyar me
idhar sudama janma jis par ghiri ghataye kaali thi
aankh khuli balak ki to
mata ne aankh phira li thi
idhar krishan jis par sare gokul ka pyar barasta tha
udhar sudama ek bund pane ko pyar tarasta tha
phir kanha ko kuntil kans ne
chhal se mathura bulvaya
jaha prabhu ne pal bhar me
yamlok nich ko pahunchaya
din sudama jiske mukh par
divay gyan ka deep jale
guru saandip ne sang use
lekar aashram ki or chale
aur udhar balram krishan bhi gurukul jate hai