Patta anaaron ka
Patta chanaaron ka
Jaise hawaaon mein
Aise bhatakta hoon
Din raat dikhta hoon
Main teri raahon mein
Mere gunaahon mein
Mere sawaabon mein shaamil tu…
Bhooli atthanni si
Bachpan ke kurte mein se mill tu…
Rakhun chhupa ke main sab se woh Laila
Maangun zamaane se, Rab se woh Laila
Kab se main tera hoon
Kab se tu meri Laila
Teri talab thi haan teri talab hai
Tu hi toh sab thi haan tu hi toh sab hai
Kab se main tera hoon
Kab se tu meri Laila…
O meri Laila, Laila
Khwaab tu hai pehla
Kab se main tera hoon
Kab se tu meri Laila (x2)
Maangi thi duaayein jo
Unka hi asar hai hum saath hain
Na yahaan dikhawa hai
Na yahan dunyaavi jazbaat hain
Yahaan pe bhi tu
Hooron se zyada haseen
Yaani dono jahaanon mein tumsa nahi
Jeet li hain aakhir mein
hum dono ne yeh baaziyan…
Rakhun chhupa ke main sab se woh Laila
Maangun zamaane se, Rab se woh Laila
Kab se main tera hoon
Kab se tu meri Laila
Teri talab thi haan teri talab hai
Tu hi toh sab thi haan tu hi toh sab hai
Kab se main tera hoon
Kab se tu meri Laila…
O meri Laila, Laila
Khwaab tu hai pehla
Kab se main tera hoon
Kab se tu meri Laila (x2)
Zaaiqa jawaani mein
Khwaabon mein yaar ki mehmaani mein
Marziyaan tumhari ho
Khush rahun main teri manmaani mein
Band aankhein karun
Din ko raatein karun
Teri zulfon ko sehla ke baatein karun
Ishq mein unn baaton se ho
meethi si naraaziyan
Rakhun chhupa ke main sab se woh Laila
Maangun zamaane se, Rab se woh Laila
Kab se main tera hoon
Kab se tu meri Laila
Teri talab thi haan teri talab hai
Tu hi toh sab thi haan tu hi toh sab hai
Kab se main tera hoon
Kab se tu meri Laila…
O meri Laila, Laila
Khwaab tu hai pehla
Kab se main tera hoon
Kab se tu meri Laila (x2)