Kaliyug ki sita ki uljhan
Mat poochh mere mann bairaagi
Jeevan bhar ka banwaas liya, ho
Ram ke ghar ko bhi tyaagi
Kaliyug ki sita ki uljhan
Har kadam pe uska haran hua
Har mod pe raavan ko dekha
Jab saiyyam ka dhiraj toota
Khud laangh chali laxman rekha
Na rang mahel usko bhaaya
Voh saari khushiyaan ko taj bhaagi, hoye
Kaliyug ki sita ki uljhan
Naakaam hui badnaam hui
Kal tak thi shraddha ki moorat
Dar dar bhatki maari maari
Aswan mein doob gayi soorat
Kaanton pe aayi neend zara
Phoolon ki bistar pe jaagi, haai
Kaliyug ki sita ki uljhan
Mat poochh mere mann bairaagi
Jeevan bhar ka banwaas liya, ho
Ram ke ghar ko bhi ty.