Na tera durbhagya naya hai
Na jag ka vyahwar naya
Na raho ke sul naye
Na pathar dil sansar naya
Seeta bhi jaha sukha pa na saki
Tu us dharti ki nari hai
Seeta bhi jaha sukha pa na saki
Tu us dharti ki nari hai
Jo julm teri takdir bana
Jo julm teri takdir bana
Wo julm yugo se jari hai
Seeta bhi jaha sukha pa na saki
Tu us dharti ki nari hai
Wo kanya ho ya garbhwati
Nari ko sada apman mila
Wo kanya ho ya garbhwati
Nari ko sada apman mila
Awtaro ki nashal badhakar bhi
Patitao me parasthan mila
Sadiyo se yaha har abla ne
Sadiyo se yaha har abla ne
Ro ro ke umar gujari hai
Seeta bhi jaha sukha pa na saki
Tu us dharti ki nari hai
Kahne ko to devi kahlayi
Par nar yaha dashi hi rahi
Kahne ko to devi kahlayi
Par nar yaha dashi hi rahi
Do pyar ke mithe bolo ki
Marte dam tak pyasi hi rahi
Jo jahar mile wo piti ja
Tu kaunsi janam dulari hai
Seeta bhi jaha sukha pa na saki
Tu us dharti ki nari hai
Mayka chhuta sasural chhuta
Jayegi magar jayegi kaha
Mayka chhuta sasural chhuta
Jayegi magar jayegi kaha
Ab balmiki sa koi rishi
Is dharti par payegi kaha
Ab tu ek bhatki hirni hai
Ab tu ek bhatki hirni hai
Aur mard ki aankh shikari hai
Seeta bhi jaha sukha pa na saki
Tu us dharti ki nari hai
Seeta bhi jaha sukha pa na saki
Tu us dharti ki nari hai.