Likha Karam Ka Lekh Lyrics | Lav Kush

                        
                        likha karam ka lekh
kisi se padha na jaye re
kisi se padha na jaye re
kabhi mahal me rakhe kabhi
van van bhatkaye re
hay van van bhatkaye re
likha karam ka lekh

kbhi ram ko janak dulaari
thi prano se pyari
chhute charan piya ke pal me
chhute mahal ataari
pal me chhute mahal ataari
jodi bichhdaye re
hay jodi bichhdaye re
likha karam ka lekh

seeta bina ram ko soona
lagta mahal salouna
heero jade palang ko chhoda
kush ka kiya bichhona
ram ne kush ka kiya bichhona
birha tadpaye re
hay birha tadpaye re
likha karam ka lekh

jagat sovat pal pal chhin chhin
yaad piya ki aati
ram ram likh likhkar seeta
apna man samjhati
seeta apna man samjhati
naina bhar aaye re
hay naina bhar aaye re
likha karam ka lekh

raj mahal me ram akele
kitni wipda sahte
taj pakwan mithai kewal
seeta phal par rahte
kuch aur na bhaye re
hay kuch aur na bhaye re
yaha ram phal me seeta ne
dekha roop piya ka
hui magan man me muskaai
chhuta dheer jiya ka
toota sunder sapan siya ka
sapna bharmaye re
hay sapna bharmaye re
likha karam ka lekh
kisi se padha na jaye re
hay re padha na jaye re
likha karam ka lekh

gaiya ki seva me seeta
nishdin samay bitati
bachhde ke sang khel khel kar
apna man bahlaati
ganga jal se bhar kar gagar
bhor huye nit laati
sinch sinch ka fulwari ko
man hi man sukhpaati
ek din ram naam par seta
aai phool chadhane
uthi kasab ki peer nayan se
aanshu lagi bahaane
nayan se aanshu lagi bahaane
sudh budh bisray re
hay sudh budh bisraye
likha karam ka lekh
phooti kiran kamal dal jaage
jaage bhagy siya ke
jaage bhagy siya ke