hami se muhabbat hami se ladaayi
hami se muhabbat hami se ladaayi
are maar daala duhaayi duhaayi
are maar daala duhaayi duhaayi
abhi naasamajh ho uthaao na khanjar
abhi naasamajh ho uthaao na khanjar
kahi mud na jaaye tumhaari kalaayi
are maar daala duhaayi duhaayi
sitam aaj mujh par jo tum dha rahi ho
badi khhubsurat nazar aa rahi ho
ye ji chaahata hai ke khud jaan de du
ye ji chaahata hai ke khud jaan de du
muhabbat me aaye na tum par buraayi
are maar daala duhaayi duhaayi
hame husn ki har ada hai gavaara
hasino ka gussa bhi lagta hai pyaara
udhar tumne tir-e-nazar dil pe maara
udhar tumne tir-e-nazar dil pe maara
idhar hamne bhi jaan par chot khaayi
hami se muhabbat hami se ladaayi
are maar daala duhaayi duhaayi
karo khun tum yu na mere jigar ka
bas ik vaar kaafi hai tirchhi nazar ka
yahi pyaar ko aazmane ke din hai
yahi pyaar ko aazmane ke din hai
kiye jaao hamse yuhi bevafaayi
hami se muhabbat hami se ladaayi
are maar daala duhaayi duhaayi
abhi naasamajh ho uthaao na khanjar
abhi naasamajh ho uthaao na khanjar
kahi mud na jaaye tumhaari kalaayi
are maar daala duhaayi duhaayi