Aa..
Jab todna hi tha sab ne
Dil kyun banaya rabb ne
Jab todna hi tha sab ne
Dil kyun banaya rabb ne
Koi na mila jiska dil
Toota hi naa ho jag mein
Koi na mila jiska dil
Toota hi naa ho jag mein
Dil toota hi naa ho jag mein
Tujhse door raasta ho gaya toh
Safar hi sazaa ho gaya
Lamhon se kya shiqayat karein hum
Waqt hi khhafa ho gaya
Kisko batayein ab ise samjhayein
Dard dilon ke ab kisko dikhayein`
Samjhe na koi majbooriyan
Milne lagin hain jo dooriyan
Dil ne toh ye chaha nahi
Fir kisne di hai manjooriyan
Samjhe na koi majbooriyan
Milne lagin hain jo dooriyan
Dil ne toh ye chaha nahi
Fir kisne di hai manjooriyan
Jaaniya tu, aayi to jiye
Tu gayi to gaye jaan se
Jaaniya barasne lahe aansu
Aankhon ke aasmaan se
Aankhon ke aasmaan se
Rulana hi tha ‘gar khuda
Phir kyun mujhe hansaya tha
Chheen liya tune yahan
Jo bhi mera humsaaya tha
Rulana hi tha ‘gar khuda
Phir kyun mujhe hansaya tha
Chheen liya tune yahan
Jo bhi mera humsaaya tha
Jo bhi mera humsaaya tha
Janiya phir milenge kabhi
Inn raahon pe kisi mod pe
Janiya dil jaane laga
Inn dhadkano ko ab chhod ke
Dhadkano ko ab chhod ke
Jab todna hi tha sab ne
Dil kyun banaya rab ne
Koi na mila jiska
Dil toota hi naa ho jag mein
Koi na mila jiska
Dil toota hi naa ho jag mein
Dil toota hi naa ho jag mein
Tujhse door raasta ho gaya toh
Safar hi sazaa ho gaya.