gam ki baatein bhul ja
ye hai ishara shaam ka
muskrao o lut ke bhar de najara saam ka
saaj bajati maikhane me chhmchhm aayi saam
chhed rubai khol surahi saakhi bhar de jaam
saaj bajati maikhane me chhmchhm aayi saam
chhed rubai khol surahi saakhi bhar de jaam
gardish me paimane aaye
masti me diwane aaye
dekh ghataye nind ye samjhe
jannat se maikhane aaye
geeto ki jhankar sunaye
phulon ka paigam
chhed rubai khol surahi saakhi bhar de jaam
honthon tak jab sagar aaya
tauba rote rote aayi
tauba se ab karle tauba
hoti hai to ho ruswayi
pyaase sekh ko karne de jo karta hai badnaam
chhed rubai khol surahi saakhi bhar de jaam