patthar ke hain sab raaste, parwah nahi
dhundhle hain chehre khwaab ke, parwah nahi
chhalni hai sina rehne do, ab jo bhi ho parwah nahi
sanki hua jaata hai dil, mann ki kiye jaata hai dil
kadke betahasha ye, bijli hua jaata hai dil
sanki hua jaata hai dil, mann ki kiye jaata hai dil
kadke betahasha ye, bijli hua jaata hai dil
baadal me dhundhe hausle, pagla gaye hain hausle
gir jaaye ya ude, ab tute ya jude, parwah nahi
parwah nahi hey yeah, parwah nahi yeah
parwah nahi yeah
jhuthe hai ya sachche hai, sapne aakhir sapne hai
saare taare tumhi rakh lo, saare jugnu toh mere hai
jhuthe hai ya sachche hai, sapne aakhir sapne hai
saare taare tumhi rakh lo, saare jugnu toh mere hai
roke ruke na dil jale, pagla gaye hain hausle
ziddi hain dhadkane, ab bigde ya bane, parwah nahi
wo parwah nahi, ho parwah nahi yeah, parwah nahi yeah
saanso me jo bhatti hai, wo raat aur din dehakti hai
paani waani toh dhoka hai, yeh aag aag se bujhti hai
saanso me jo bhatti hai, wo raat aur din dehakti hai
paani waani toh dhoka hai, yeh aag aag se bujhti hai
aaye toh aaye zalzale, pagla gaye hain hausle
sholo pe hum chale, ab pighle ya jale, parwah nahi
wo parwah nahi, wo parwah nahi, wo parwah nahi o