ek tasveer ek murat hai
haye vo kitni khubsurat hai
lage unki suratiya kuch aisi bhali
lage unki suratiya kuch aisi bhali
jaise kauae ki chonch me anaar ki kali
jaise kauae ki chonch me anaar ki kali
bate vo karte hai aisi kamal ki
jaise umariya ho pandhra saal ki
soch le soch le nikle chonchle
isi liye to kahi dal na gale
lage unki suratiya kuch aisi bhali
jaise kauae ki chonch me anaar ki kali
chipku bhi aise ke jane ka naam na le
ghadi hai bandh rakhi lekin kaam na le
jaha bhi tham gaye samjho ke jam gaye
din se rat hui rat si dhali
lage unki suratiya kuch aisi bhali
jaise kauae ki chonch me anaar ki kali
rakhte hai tajurba wo har bat ka
dekhnge darwaja kabhi hawalat ka
muft ka bangla baahar jangla
khayenge baithe baithe moong ki fali
lage unki suratiya kuch aisi bhali
jaise kauae ki chonch me anaar ki kali
jaise kauae ki chonch me anaar ki kali