Masoom Sa Lyrics | Madaari

                        
                        paalne me chand utra khubsurat khwaab jaisa
god me usko uthata toh mujhe lagta tha waisa
saara jahan mera hua, saara jahan mera hua
subah ki wo pehli dua yaa phul resham ka
masoom sa masoom sa, mere aas pass tha masoom sa
mere aas pass tha masoom sa, ho masoom sa

ek kamra tha magar saara zamana tha waha
khel bhi the aur khushi thi, dostana tha waha
chaar diwaro me rehti thi hazaro mastiya
the wahi patwar bhi, sagar bhi the aur kashtiya
the wahi patwar bhi, sagar bhi the aur kashtiya
meri to wo pehchan tha, meri to wo pehchan tha 
ya yu kaho ki jaan tha wo chand aangan ka 
masoom sa masoom sa, mere aas pass tha masoom sa
mere aas pass tha masoom sa, ho masoom sa

meri ungli ko pakad wo chaand chalta sheher me
zindagi ki beraham si dhup me, dopahar me
main sunaata tha use afsaane rangin shaam ke
taaki wo chalta rahe, chalta rahe aur na thake
taaki wo chalta rahe, chalta rahe aur na thake
na manzilo ka tha pata, na manzilo ka tha pata
thi zindagi ik raasta, wo saath har pal tha
masoom sa masoom sa, mere aas pass tha masoom sa
mere aas pass tha masoom sa, ho masoom sa