Mahabharat Katha Lyrics | Mahabharat

                        
                        Mahakavi shri vedvyas
Ki aarathi sabhi utarat hai
Jinki lekani se nikala yeh
Mahakavya mahabharat hai

Bahut din bite purani baat hai
Aaj tak jo vishw mein vikhyath hai
Hastinapur naam ki thi
Ik yahan nagari badi
Heere panon motiyon ki
Aab se jab mag jadi
Jiske upar chandra
Vanshi rajavon ka raj tha
Jiske raja pandu par
Saari praja ko naaz tha
Is katha mein zor hai
Aandhiyon kaa shor hai
Bheem arjun kaa parakram
Draupadi ki hai vyatha
Jisne di bharat ko geeta
Wo mahabharat katha
Yeh mahabharat ki katha
Yeh mahabharat ki katha

Pandu se pandav huve
Dhritrashtra se kavrav huve
Ik zameen ke kalank duje
Jagath ke gaurav huve
Dusht duryodhan adharm
Ki raah par chalne laga
Nij chachere bhaiyon se
Vyarth hi jalne laga
Kintu pandusut yudhisthir
Dharam ke avtaar the
Bhai se bhai na jhagade
Unke shudh vichaar the
Krishna ka upadesh hai
Manata sab desh hai
Bheem arjun kaa parakram
Draupadi ki hai vyatha
Jisne di bharat ko geeta
Wo mahabharat katha
Yeh mahabharat ki katha
Yeh mahabharat ki katha

Ay rakhi bandhawane wale
Kaha chupe ho krishna murar
Panch pandavon ki panchaali
Bhari sabha mein kare pukaar
Dharamraj bane juvari
Jhooti sid par ad gaye
Pandavon ki akal par bhi
Haaye pattar pad gaye
Kauravon ki nagntha par
Paap yeh chadne laga
Mahabharat mein pralay
Ka beej yeh padne laga
Dusht dushasan adharmi
Vastra keche jaa raha hai
Thak gaye yeh haath par
Saadi ka ant na aaraha
Purush wo haathon mein
Jinke dharam ki talvaar ho
Inke haathon mein hai
Saadi veeratha dhikaar ho
Laaj naari ki na jaaye jo
Jagath ki maat hai
Iske izzat abaru pyaare
Prabhu ke haath hai
Shashtra sab yodha liye
Chup hai sar neecha kiye
Chakrdhari ne mitaayi
Draupadi ki yeh vyatha
Jisne di bharat ko geeta
Wo mahabharat katha
Yeh mahabharat ki katha
Yeh mahabharat ki katha

Sukh jaata hai dukh aata
Dukh jaata hai sukh aaata
Kintu pandavon ke jeevan
Ka dukh hi dukh se naata
Likha bhagya ka kabhi na
Tal tha honahaar hoti hai
Dekh pandavon ko banavasi
Dharati bhi roti hai
Dharam raj kehelane wale
Chhod ke ghar sansaar chale
Sang draupadi ban ban bhatake
Raj paat sab haar chale
Arjun ka ghandeev aaj nahin
Is vipada kaa bhar hare
Gadha bheem ki mahabali
Ke kandhon par araam kare
Ab na mile aakash hi chat
Hai dharti inka bichona hai
Raj vanshiyon ko ab tho
Ban ke kanton par sona hai
Bhari baiti door anokhe
Beej naye boti hai
Dekh pandavon ko banvasi
Dharati bhi roti hai

Jungle mein mangal chaaya
Hai bhulgaye wo pichle pal
Panchali ke liye bheem
Nikale hai laane swarankamal
Saamne yeh kaun jiska
Rang bhi ranga ang hai
Vridh hai vanar magar
Kya josh hai kya umang hai
Puch inki shakti shaali
Raah mein bajarang hai
Jai pawan putr mahaan
Jai jai banture balwaan
Jai hey raam priya hanumaan

Chakrvuh ka chakr ghira
Hai kavrav dal ki chaal hai
Aaj kaal ki chaati par
Abhimanyu jaisa bal hai
Saamne is vuh mein
Pehele jaidrath aagaye
Veer abhimanyu ke haathon
Yeh bhi muki khagaye
Pehele socha maar daalun
Kya yahi satkarma hai
Phir kaha na maarana
Murchit ko ghor adharam hai
Chalkapat ki yeh ladaayi
Dekh kar hoti vyatha
Saat yodhavon se ladate
Ek balak ki katha
Yeh mahabharat ki katha
Yeh mahabharat ki katha

Saamne dekha khade
Yeh karan sar uncha liye
Ban abhimanyu ka chuta
Dhanush ke tukde kiye
Hila dushasan ka aasan
Wo bhi bhaga kampa ke
Kaun aage aayega
Jwalamukhi is aag ke
Ablo dekho bhanajon bhanjon
Ke pyaare mama aagaye
Aaj yeh pase na palte
Ulte jhasan kha gaye
Idhar dekho dhanur dhari
Shalya sajdhaj kar khada
Yeh bhi toota istarah jun
Daal se pata jhada
Jwal bhadaki aaj duryodhan
Ki bhi na khair hai
Aaj vish uglega yeh
Sadiyon purana bair hai

Sab ne socha istarah
Balak yeh baaz na aayega
Kutniti se ise maro
Tabhi mar jaayega
Ik taraf saathon maharathi
Ek taraf balak akela
Phir bhi jab tak pran tan
Mein kshatriyon ka khel khela
Vah vah pyare bhatije
Tujh se ujwal vansh hai
Aa gale mille ghadi bhar
Tu humara ansh hai
Is tarah ik chaal kapati
Chhali duryodhan chala
Gale milne ke bahane
Nij bhatije ko chhala
Pit par abhimanyu ke
Ik baan dhoke ka chala.