Welcome Entertainment Lover’s

Ek Ganga Kahi Se Aayi Lyrics | Mahasati Savitri

                        
                        Ek ganga kahi se aayi
Ek jamuna kahi se aayi
Jagat ke path pe
Chalte chalte
Sangam ban gayi
Ek preet ke punit
Prayag mein aake
Tirth anupam ban gayi
Ek ganga kahi se aayi
Ek jamuna kahi se aayi
Jagat ke path pe
Chalte chalte
Sangam ban gayi

Aarya desh ki ek beti ne
Apne dharam ko nibhaya
Aarya desh ki ek beti ne
Apne dharam ko nibhaya
Ek janam mein
Koti janam ka
Punay sati ne kamaya
Sankat jo pade sabhi
Haske sahe
Kabhi kisi ko vachan
Kadve na kahe
Jab do aankho mein
Amawas thi
Ek dulhan punam
Ban gayi
Ek ganga kahi se aayi
Ek jamuna kahi se aayi
Jagat ke path pe
Chalte chalte
Sangam ban gayi

Sati ko kuch na pata tha
Ke usne kya khoya
Kya paya
Sati ko kuch na pata tha
Ke usne kya khoya
Kya paya
Anjane hi ganga ka man
Sagar par lalchaya
Jab bhagya ne
Ek palta khaya
Or tyag ka jab awsar aaya
Ek raj mahal ki chanchalta
Pal bhar ke saiyam
Ban gayi
Ek ganga kahi se aayi
Ek jamuna kahi se aayi
Jagat ke path pe
Chalte chalte
Sangam ban gayi
Sangam ban gayi
Sangam ban gayi
Sangam ban gayi.