Zuban Khamosh Lyrics | Main Khiladi Tu Anari

                        
                        Zubaan khaamosh hoti hai,
Nazar se kaam hota hai
Zubaan khaamosh hoti hai,
Nazar se kaam hota hai

Isi pal ka zamaane mein
Mohabbat naam hota hai
Dekho dekho dekho
Mujhe pyaar ho gaya
Jaane kab kaise ikraar ho gaya
Zubaan khaamosh hoti hai,
Nazar se kaam hota hai
Zubaan khaamosh hoti hai,
Nazar se kaam hota hai
Isi pal ka zamaane mein
Mohabbat naam hota hai
Dekho dekho dekho
Mujhe pyaar ho gaya
Jaane kab kaise ikraar ho gaya

Haan, dekho dekho dekho
Mujhe pyaar ho gaya
Jaane kab kaise ikraar ho gaya
Yeh voh ehsaas hai
Jisko na lafzon ki zaroorat hai
Jisse paakar lage
Saara zamaana khoobsurat hai
Zamaana khoobsurat hai
Mohabbat naam hai jiska
Adaaon mein dikhaayi de
Teri dhadkan ki har sargam mein
Yeh mujhko sunaayi de
Haan yeh mujhko sunaayi de
Mere honton pe jab tere,

Labon ka jaam hota hai
Mere honton pe jab tere,
Labon ka jaam hota hai
Isi pal ka zamaane mein
Mohabbat naam hota hai

Dekho dekho dekho
Mujhe pyaar ho gaya
Jaane kab kaise ikraar ho gaya
Haan, dekho dekho dekho
Mujhe pyaar ho gaya
Jaane kab kaise ikraar ho gaya
Badal jaate hai sab aasaar
Jab yeh pyaar hota hai
Bina bole hi chaahat ka
Haseen izhaar hota hai
Haseen izhaar hota hai
Khayaalon ki haseen vaadi mein
Jab tum gungunaati ho
Meri saanson ke dariya mein
Kayi toofaan laati ho
Kayi toofaan laati ho

Bahut bechainiyon mein bhi
Bada aaraam hota hai
Bahut bechainiyon mein bhi
Bada aaraam hota hai
Isi pal ka zamaane mein
Mohabbat naam hota hai

Dekho dekho dekho
Mujhe pyaar ho gaya
Jaane kab kaise ikraar ho gaya
Zubaan khaamosh hoti hai,
Nazar se kaam hota hai
Zubaan khaamosh hoti hai
nazar se kaam hota hai
Isi pal ka zamaane mein
Mohabbat naam hota hai
Dekho dekho dekho
Mujhe pyaar ho gaya
Jaane kab kaise ikraar ho gaya
Dekho dekho dekho
Mujhe pyaar ho gaya
Jaane kab kaise ikraar ho gaya
Haan, dekho dekho dekho
Mujhe pyaar ho gaya
Jaane kab kaise ikraar ho gaya.