badli hai zamane ki najar dekhiye kya ho

hona to hai kuch aaj magar dekhiye kya ho

ye rat to dilkash thi bade khush the sitare
tum pas hamare the to hum pas tumhare
ab aayi hai najdik sahar dekhiye kya ho
hona to hai kuch aaj magar dekhiye kya ho
hona to hai kuch aaj magar dekhiye kya ho
badli hai zamane ki najar
ye kashti chali jati thi maujo ke sahare
socha tha pahuch jayenge ek roz kinare
par samne aaya hai bhawar dekhiye kya ho
hona to hai kuch aaj magar dekhiye kya ho
hona to hai kuch aaj magar dekhiye kya ho
badli hai zamane ki najar
mushkil me sabhi dete hai us dar pe sadaye
sunte hai ke sunta hai khuda sabki duaye
magar apni duaao ka asar dekhiye kya ho