aakaash ke jalte suraj ko
paani me gira deta hai koi
kyu ret ke bheege jarro ko
baarud bana deta hai koi
badhti hi jaati hai uljhan
manthan manthan, manthan manthan
manthan manthan, manthan manthan
manthan manthan, manthan manthan
manthan
barsaat bhi hoti hai aisi
har bund me ek chingaari hai
jiwan ke khule darwaaze par
ab maut ki pehredari hai
ruk ruk ke chalti hai dhadkan
manthan manthan, manthan manthan
manthan manthan, manthan manthan
manthan manthan, manthan manthan
manthan
vishwaas ho jin dariyaao me
vo rukte nahi diwaaro se
jin paano par ho saty likha
vo jalte nahi angaaro se
har yug me chamakta hai darpan
manthan manthan, manthan manthan
manthan manthan, manthan manthan
manthan manthan, manthan manthan
manthan.