Welcome Entertainment Lover’s

Yeh Zameen Roshani Se Lyrics | Manthan Ek Kashmakash

                        
                        ye zami
ye zami roshani se nahane lagi
fir meri
fir meri zindgi muskuraane lagi
tune mausam ke kaano me kya keh diya
tune mausam ke kaano me kya keh diya
ye hawa pyaar ke geet gaane lagi
ye zami roshani se nahane lagi

sard mausam ki is gungunaati dhoop me
tere baalo ka sona chamakta rahe
sard mausam ki is gungunaati dhoop me
tere baalo ka sona chamakta rahe
koi baadal tere sar pe saya kare
tere gaalo pe bunde chhidtakta rahe

tune aise mere jisam ko chhu liya
ha tune aise mere jisam ko chhu liya
ruh me jaise khushbu samane lagi
ye zami roshani se nahane lagi

teri ankho me sapne chamakte rahe
saahilo par saje motiyon ki tarah
teri ankho me sapne chamakte rahe
saahilo par saje motiyon ki tarah
mujhe chhune ki khaatir machal jaaye tu
aur main udti rahun titliyon ki tarah

ha tu mere sath aai to takdir bhi
tu mere sath aai to takdir bhi
meri raaho me resham bichhane lagi
ye zami roshani se nahane lagi
fir meri zindgi muskuraane lagi.