Dil dhundhta hai phir wahi fursat ke raat din

Baithe rahe tasawwure jana kiye huye

Jaddo ki narm dhup aur aangan me let kar

Aankho pe khinch kar tere aanchal ke saye ko
Aaundhe pade rahe kabhi karwat liye huye
Dil dhundhta hai phir wahi fursat ke raat din
Ya garmiyo ki raat jo purwayiya chale
Ya garmiyo ki raat jo purwayiya chale
Thandi safed chadro pe jage der tak
Taro ko dekhte rahe chhat par pade huye
Dil dhundhta hai phir wahi fursat ke raat din
Barfili sardiyo me kisi bhi pahad par
Barfili sardiyo me kisi bhi pahad par
Wadi me gunjti hui, khamoshiya sune
Aankho me bhige bhige se lamhe liye huye
Dil dhundhta hai phir wahi fursat ke raat din
Dil dhundhta hai phir wahi fursat ke raat din
Baithe rahe tasawwure jana kiye huye
Dil dhundhta hai phir wahi fursat ke raat din.