Zindagi haath mila
Saath chal saath mein aa
Umr bhar saath rahi
Do kadam aur sahi
Do kadam aur sahi
Do kadam aur sahi
Do kadam aur sahi
Koi suraj ki dagar
Koi sone ka nagar
Chaand ke rath pe chale
Jahaan thehre yeh nazar
Dhup dariyaaon mein hai
Phir safar paaon mein hai
Dil ka aawara diya
Doosre gaaon mein hai
Aao chale hum wahi
Do kadam aur sahi
Do kadam aur sahi
Do kadam aur sahi
Do kadam aur sahi
Khwaab dhaltein hain jahaan
Dil pighaltein hain jahaan
Aao chaltein hain wahi
Woh zamin door nahi
Dosti hogi wahaan
Roshni hogi wahaan
Uss ujaale ke liye
Jal chuke laakhon diye
Ek hum aur sahi
Do kadam aur sahi
Do kadam aur sahi
Do kadam aur sahi
Do kadam aur sahi
Kiski awaaz hai sunn
Ye naya saaz hai sunn
Kaun rehta hai sadaa
Chal ke dekhein zara
Raah viraan sahi
Raat sunsaan sahi
Har ghadi saath rahe
Kitne gam saath sahi
Thode gam aur sahi
Do kadam aur sahi
Do kadam aur sahi
Do kadam aur sahi
Do kadam aur sahi