Welcome Entertainment Lover’s

Dekho Ji Dekho Yeh Meri Sasural Hai Lyrics | Mehndi

                        
                        Waise toh kahene ko hai
Meri raam kahaani
Par har ek ladki ko lagegi
Yeh jaani pahechaani

Dekho ji dekho yeh meri sasural hai
Ye teri sasural hai
Dekho ji dekho yeh meri sasural hai
Ye teri sasural hai
Kahete hai log ke daal mein hai kaala
Kahete hai log ke daal mein hai kaala
Lekin yahaan toh poora gotala
Saari ki saari kaali ye daal hai
Dekho ji dekho yeh meri sasural hai
Ye teri sasural hai
Dekho ji dekho yeh meri sasural hai
Ye teri sasural hai

Are ladke ki shaadi mein bhanda paaye
Kare hungama kare hungama
Dheere dheere hota shuru unka
Asli drama asli drama
Ghar mein dulhan jab aati hai
Kitane sagun manate hai

Pahele phoolo ki baarish kare
Phir ye bijali giraate hai
Phir ye bijali giraate hai
Kisse bahu ke maar
Dharti hai har dam bete ke daan
Ghar ko bana lete hai ye
Ik mahabharat ka maidaan

Haay sasuraal haay haay sasuraal
Haay sasuraal haay haay sasuraal
Yahaan par milta hai sada huaa maal
Haay sasuraal haay haay sasuraal
Are karte hai ladki ka jeena munhaal
Haay sasuraal haay haay sasuraal

Ye khote karm hai karte
Nahin bhagwaan se darte
Haay sasuraal haay haay sasuraal
Haay sasuraal haay haay sasuraal

Ho baari barsi khatan gaya si
Khat ke leyandi ghaas
Khat ke leyandi ghaas
Baari barsi khatan gaya si
Khat ke leyandi ghaas
Kitna changa hota maa banti saans
Ke main jooth boliya koina
Ke main kafur koliya koina

Deke main zaher goliyaan
Koina bhai koina bhai koina
Balle balle balle balle

Jab jab sto fate koi toh
Sirf bahu kyun jalti hai
Sirf bahu kyun jalti hai
Dariya yaa kue mein dubke
Saans nanad nahin marti hai
Bolo kyun nahin marti hai
Paise ke khaatir iske maa baap
Ko kosa jaata hai
Ye hai cheez paraai ispe
Koi taras nahin khata hai

Lagta hai ke
Lagta hai ke
Bahu sabd mein hi shayd koi galti hai
Bahu sabd mein galti hai
Bahu sabd mein galti hai

Unko na chhodungi jinki ye chaal hai
Ye meri sasuraal hai ye teri sasuraal hai
Ye meri sasuraal hai

Ho saath vachan ka baandh ke bandhan
Main bhi ek din aayi thi
In ki seva dharm hai mera

Ye siksha main laayi thi
Magar ye nanad saas dekho
Ye kaikai aur manthara hai
Sasur bhi nahin rati bhar
Yeh duryodhan ki tarah hai
Bete ki jaan bachane ko
Bahu ka daav lagate hai
Inhe ye khabar nahin ke
Ye kitane paap kamate hai

Kahet kabir suno bhai saadhu
Kahet kabir suno bhai saadhu
Karni ka phal paayega
Boya ped babul ka phir
Aam kahan se khayega
Aam kahan se khayega

Haath utha kar upar wale se
Maangu main yahin duaan
Aisa kisi ke saath nahin ho
Jaisa iske saath hua

Suno naariyon julm na sahena
Yaad rahe mera sandesh
Agar zaroorat pad jaaye toh
Agar zaroorat pad jaaye toh
Dhar lena chandi ka bhesh
Mujhko sataye ab kiski majaal hai

Ye mere sasuraal hai ye tere sasuraal hai
Dekho ji dekho ye mere sasuraal hai
Ye tere sasuraal hai
Kahete hai log ke daal mein hai kaala
Kahete hai log ke daal mein hai kaala
Lekin yahaan toh poora gotala
Saari ki saari hi kaali ye daal hai
Yeh meri sasural hai
Ye teri sasural hai.