tumhi se hui hai suru aur tumhi pe sanam
khatam hogi kahani hamari
tumhi se hui hai suru aur tumhi pe sanam
khatam hogi kahani hamari
kisi gair se hum mohabbat kare to
khuda chhin le jindgani hamari
tumhi se hui hai
yahi julfe yahi najre yahi dar hai hamara
jahan chode magar chode na hum daman tumhara
kasam lelo, kasam lelo ye wada hai na tutega
kahi or apne ye sajde lutade
to ho jaye ruswa jawani hamari
tumhi se hui hai suru aur tumhi pe sanam
khatam hogi kahani hamari, tumhi se hui hai
na tumko bhi khabar hoti tumhe yu pyar karte
gujarti hai jo is dil pe na hum eejhar karte
agar bas me
agar bas me ye dil hota to chup rahte
magar kya kare ab juban najar se
lagi bolne bejubani hamari
tumhi se hui hai suru aur tumhi pe sanam
khatam hogi kahani hamari, tumhi se hui hai
koi heere koi moti koi ye phul laya
hamara dil fakat name mohabbat leke aaya
mohabbat se, mohabbat se jyada kya hasi hoga
yahi hai hamari nigaho ka tohfa
yahi ban sakega nishani hamari
tumhi se hui hai suru aur tumhi pe sanam
khatam hogi kahani hamari
kisi gair se mohabbat kare to
khuda chhin le jindgani hamari, tumhi se hui hai.