husn kehte hai mujhe nur ka shola hu mai
aur jo kabhi tur pe chamka tha
wo jalwa hu mai ishq hai naam mera
arsh pe manjil meri aur tur par hi nahi
har dil me hai mehfil meri tur par hi nahi
har dil me hai mehfil meri
tu kaha hota agar husn na paida hota
mai na hota to bata kis pe tu shaida hota
tujhpe kurban na hoti jo wafaye meri
aur rakhi reh jati zamane me adaye teri
rakhi reh jati zamane me adaye teri
chand ko chandni taro ko chamak di maine
rang phulo ko to kaliyo ko chatak di maine
ashq shabnam ko to kanto ko khatak di maine
aur dile bulbule aashiq ko kasak di maine
mai gulista hi gulista hu baya bansu hai
mai hu ek pardanashi chak gariba tu hai
husn ki shan hai hum chak garibano se
aur teri tokir zamane me hai diwano se
teri tokir zamane me hai diwano se
kaun si chij zamane me hai mujhse badhkar
sar shanshaho ke jhukte hai mere kadmo par
sar jhukane ko to aashiq ki ada kehte hai
aur tujhko mehbub mera mujhko khuda kehte hai
tujhko mahbub mera mujhko khuda kehte hai
mujhko mahbub tera log baja kehte hai
dekhne wale magar mujhko khuda kehte hai
dekhne wale magar mujhko khuda kehte hai
husn kehte hai mujhe