duniya mein aaya hai to phul khilaye ja
aansu kisi ke le ke kushiyaan lutaye ja
duniya mein aaya hai to
chhoti si zindagi teri hans ke guzaar de
apni bigad ke kisi ki sanvar de
jo ho begana yaha apna banaye ja
aansu kisi ke le ke kushiyan lutaye ja
aaya tha pyaar se to jana bhi pyaar se
karna gila naa kabhi jaati bahaar se
aaya tha pyar se to jaana bhi pyar se
karna gila na kabhi jaati bahar se
dil par jo bit rahi hai dil mein chhupaye ja
aansu kisi ke le ke kushiya lutaye ja
aaj teri aarzuu ban gayi dasta
phulo pe aaj hota tera bhi aashiya
bujh gayi shama teri kisi ki jalaye ja
aansu kisi ke le ke kushiya lutaye ja.