mere mahabub me kya nahi kya nahi
mere mahabub me kya nahi
vo to laakho me hai ek hasi
vo to laakho me hai ek hasi, ek hasi
mere mahabub me kya nahi, kya nahi
mere mahabub me kya nahi
bholi surat ada naazani
bholi surat ada naazani, naazani
mere mahabub me kya nahi, kya nahi
mere mahabub me kya nahi
mera mahabub ek chaand hai husn apna nikhaare hue
aaaman ka farishta hai vo rup insaan ka dhare huye
rashk-e-jannat hai vo mahazabi
rashk-e-jannat hai vo mahazabi, mahazabi
mere mahabub me kya nahi, kya nahi
maah ho anjum ho ya kaiksha sabse pyaara hai mera sanam
uske jalwo me hai vo asar hosh ud jaaye allaah qasam
dekhale gar use tu kahi
dekhale gar use tu kahi, tu kahi
mere mahabub me kya nahi, kya nahi
mere mahabub me kya nahi
mera mahabub hai jaaneman, karva kadmaah ruh gulbadan
mera dilavar hai aisa javaan ho bahaaro me jaise chaman
uski chaalo me aisi lachak jaise phulo ki daali hile
uski aavaaz me vo khanak jaise shishe se shishaa mile
uske andaaz hai dilnashi, bholi surat ada naazani, naazani
mere mahabub me kya nahi, kya nahi
mere mahabub me kya nahi
tere afsaano me meri jaan hai jhalak meri afsano ki
daastaane hai milati hui allaah ham dono parwano
parwano ki ek hi shama ho na kahi
vo to laakho me hai ek hasi, ek hasi
mere mahabub me kya nahi, kya nahi
mere mahabub me kya nahi.