hai bas ki har ek unke ishaare me nishaan aur
karte hai muhabbat to guzarta hai gumaan aur
ya rab vo na samajhe hai na samajhenge meri baat

de aur bhi dil inko jo na de mujhko zuban aur

tum shahar me ho to hame kya gam jab uthenge

le aayenge baazaar se jaakar dil-o-jaan aur

hai aur bhi duniya me sukhnavar bahut achchhe

kahte hai ki gaalib ka hai andaaz-e-bayan aur