Taqdeer Ki Thokar Aisii Lyrics | Mohini

                        taqdeer ki thokar aisi lagi
sab sundar sapne tut gaye
ye maut sahara de mujhko
jitne the sahare chhut gaye
hay chhut gaye

dar badar ki thokare hain, aasraa koi nahi

ye musafir tere manjil, ka pata koi nahi
dar badar ki thokare

gam ke tufano me le chal, ye mere kismat mujhe

kismat mujhe
main wo kashti hu ki jiska, na khuda koi nahi
ye musafir tere manjil, ka pata koi nahi
dar badar ki thokare

phul jin kadmo tale, ek roj hans hanskar bichhe

hanskar bichhe
ab unhi kadmo ke sanso, ke siva koi nahi
ye musafir tere manjil, ka pata koi nahi
dar badar ki thokare

rone wale muskurane ki tamanna chhod de
rone wale muskurane ki tamanna chhod de
chhod de
tere aansu kah rahe hain, ab tera koi nahi