nagari-nagari dvaare-dvaare dhundhun re saavariyaa
piyaa-piyaa ratate-ratate ho ga_i re baanvariyaa
nagari-nagari
baalam bedardi ne mohe phunkaa gam ki aag me
birahaa ki chigaari bhar do dukhiyaa ke suhaag me
pal-pal manavaa roe chhalake naino ki gagariyaa
nagari-nagari
aai thi ankhiyo me lekar sapane kyaa-kyaa pyaar ke
jaati hun do aansu lekar aashaae sab haar ke
duniyaa ke mele me lut ga_i jivan ki gathariyaa
nagari-nagari
darshan ke do pyaase nainaa jivan bhar na soege
bichhade saajan tumare kaaran raato ko ham roege
ab na jaane raamaa kaise bitegi umariyaa
nagari-nagari