ye dil ki lagi kam kya hogi, ye ishq bhala kam kya hoga
jab raat hai aisi matvali
jab raat hai aisi matvali phir subah ka aalam kya hoga
phir subah ka aalam kya hoga
nagmo se barasti hai masti, chhalke hai khushi ke paimane
chhalke hai khushi ke paimane
aaj aisi bahaare aayi hai, kal jinke banege afasaane
kal jinke banege afasaane
ab isse jyada aur hasi ye pyaar ka mausam kya hoga
ab isse jyada aur hasi ye pyaar ka mausam kya hoga
jab raat hai aisi matvali phir subah ka aalam kya hoga
phir subah ka aalam kya hoga
ye aaj ka rang aur ye mahfil, dil bhi hai yaha dildar bhi hai
dil bhi hai yaha dildar bhi hai
aankho me kayamat ke jalve, sine me sulagta pyaar bhi hai
sine me sulagta pyaar bhi hai
is rang me koi ji le agar marne ka use gam kya hoga
is rang me koi ji le agar marne ka use gam kya hoga
jab raat hai aisi matvali phir subah ka aalam kya hoga
phir subah ka aalam kya hoga
haalat hai ajab diwano ki, ab khair nahi parwano ki
ab khair nahi parwano ki
anjaam-e-mohabbat kya kahiye, lay badhne lagi armano ki
lay badhne lagi armano ki
aise me jo paayal tut gayi phir ai mere hamdam kya hoga
aise me jo paayal tut gayi phir ai mere hamdam kya hoga
jab raat hai aisi matvali phir subah ka aalam kya hoga
phir subah ka aalam kya hoga