wafa ki raah me aashique ki id hoti hai
khushi manao mohabbat shahid hoti hai
zindabad zindabad ai mohabbat zindabad
ai mohabbat zindabad
zindabad zindabad ai mohabbat zindabad
ai mohabbat zindabad
daulat ki zajiro se tu daulat ki zanjiro se tu
rahti hai aazaad
zindabad zindabad ai mohabbat zindabad
ai mohabbat zindabad
mandir me masjid me tu aur tu hi hai imaano me
murli ki taano me tu aur tu hi hai aazaano me
tere dam se din-dharam ki duniyaa hai aabaad
zindabad zindabad ai mohabbat zindabad
ai mohabbat zindabad
pyaar ki aandhi ruk na sakegi
nafrat ki divaaro se
khun-e-mohabbat ho na
sakegaa khanjar se talavaro se
mar jaate hai aashiq zindaa rah jaati hai yaad
zindabad zindabad ai mohabbat zindabad
ai mohabbat zindabad
ishq bagaawat kar baithe to
duniyaa kaa rukh mod de
aag lagaa de mahalo me aur
takht-e-shaahi chhod de
sinaa taane maut se khele kuchh na kare fariyaad
zindabad zindabad zindabad zindabad
ai mohabbat zindabad ai mohabbat zindabad
taaj hukumat jiskaa mazhab
phir uska imaan kahan
taaj hukumat jiskaa mazhab
phir uska imaan kahan
jiske dil mei pyar na ho wo pathar hai insan kaha
jiske dil mei pyar na ho wo pathar hai insan kaha
pyaar ke dushman hosh me aa ho jayega barbaad
zindabad zindabad zindabad zindabad
ai mohabbat zindabad ai mohabbat zindabad
zindabad zindabad zindabad zindabad
ai mohabbat zindabad ai mohabbat zindabad