o sathi re, tere bina bhi kya jina
tere bina bhi kya jina
o sathi re, tere bina bhi kya jina
tere bina bhi kya jina
phulo me kaliyo me
sapno ki galiyo me
phulo me kaliyo me
sapno ki galiyo me
tere bina kuchh kahi na
tere bina bhi kya jina
o sathi re, tere bina bhi kya jina
tere bina bhi kya jina
jaane kaise anjaane ki
aan basa koi pyaase man me
apna sabkuch kho baithe ham
paagal man ke paagalpan me
dil ke afsaane
dil ke afsaane, mai jaanu tu jaane
aur ye jaane koi naa
tere bina bhi kya jina
o sathi re, tere bina bhi kya jina
tere bina bhi kya jina
har dhadkan me pyaas hai teri
sanso me teri khushbu hai
is dharti se us ambar tak
meri nazar me tu hi tu hai
pyar ye tute na
pyar ye tute na, tu mujhse ruthe na
saath ye chhute kabhi na
tere bina bhi kya jina
sathi re, tere bina bhi kya jina
tere bina bhi kya jina
tujh bin jogan meri raate
tujh bin mere din banjaare
mera jivan jalti bhumi
bujhe bujhe mere sapne saare
tere bina meri
tere bina meri, mere bina teri
ye jindagi jindagi naa
tere bina bhi kya jina
o sathi re, tere bina bhi kya jina
tere bina bhi kya jina
tere bina bhi kya jina
tere bina bhi kya jina