Zindagi is tarah
Se lagne lagi
Rang ud jaaye jo
Deewaaron se
Ab chhupaane ko
Apna kuch na raha
Zakhm dikhne lagi
Daraaron se
Main tere jism ki
Hoon parchhaai
Mujhko kaise
Rakhoge khud se judaa
Bhool karna to meri fitrat hai
Kyoon ki insaan hoon
Main nahin hoon khuda
Kyoon ki insaan hoon
Main nahin hoon khuda
Mujhko hai apni
Har khata manzoor
Bhool ho jaati
Hai insaanon se
Ab chhupaane ko
Apna kuch na raha
Zakhm dikhne
Lagi daraaron se
Jab kabhi shaam
Ke andheron mein
Raah panchhi jo
Bhool jaate hain
Voh subaah hote
Hi milon chalkar
Apni shaakhon pe
Laut aate hain
Apni shaakhon pe
Laut aate hain
Kuch hamaare bhi
Saath aisa hua
Hum yehi keh
Rahe ishaaron se
Zindagi is tarah
Se lagne lagi
Rang ud jaaye
Jo deewaaron se
Ab chhupaane ko
Apna kuch na raha
Zakhm dikhne
Lage daraaron se.