Yaadon Ki Album Lyrics | My Friend Pinto

                        
                        yadon ke album mein padi kahin
black and white tasveerein hain
slate pe choti ek chalk se kheenchi
tedhi si medhi si lakeeren hain
zara si dhool hai jum gayi wahan
hata de aaj hathon se ponch ke
phir nukili kare zara
purani pencilon ko kharoch ke

un raston pe fir laut ke chale
le kar woh tej nanhi si cyclein
thi zindagi ki hui jahan subah

milti thi jahan majedaar toffiyan
chamkile wraperon mein modh ke
aaj dukaane woh khareed le sabhi
aath aano char aano ko jod ke
thode se paise jo bach gaye agar
kyun na khareed le ek patang bhi
jiski joh man pasand ho
chunengein hum patango ke rang bhi

un raston pe fir laut ke chale
le kar woh tej nanhi si cyclein
thi zindagi ki hui jahan subha

phir se imteehano mein
ratein jaag kar padh le
ek duje ki copy mang kar
chal zara chalein bachpan ke pal
woh jee lein befikar se din vo
phir zindagi se cheenien

un raston pe fir laut ke chale
le kar woh tej nanhi si cyclein
thi zindagi ki hui jahan subha.