Wo tere pyar ka gham
Ek bahana tha sanam
Apni kismat hi kuch
Aisi thi ke dil tut gaya
Yeh na hota to koi
Dusara gham hona tha
Main to wo hu jise har
Hal mein bas rona tha
Muskurata bhi agar
To chhalak jati nazar
Apni kismat hi kuch
Aisi thi ke dil tut gaya
Warna kya baat hai
Tu koi sitamagar to nahi
Tere sine mein bhi dil hai
Koi patthar to nahi
Tune dhaya hai sitam
To yahi samjhege hum
Apni kismat hi kuch
Aisi thi ke dil tut gaya
Wo tere pyar ka hgam
Ek bahana tha sanam