sine me aag bhadkti hai, aankho se pani bahta hai
kuch aisi chot lagi dil par, dil ro ro kar ye kahta hai
ae ishq hame barbad na kar, ae ishq hame barbad na kar
dil tod ke man ka meet gaya, hum har gaye gum jeet gaya
khushiyo ka zamana bit gaya, khushiyo ka zamana yad na kar
ae ishq hame barbad na kar, ae ishq hame barbad na kar
kyu rote hai do diwane, bedard zamana kya jane
bedard zamane se aye dil, ummid na rakh fariyad na kar
ae ishq hame barbad na kar, ae ishq hame barbad na kar
pahle to kapat ne kaid kiya, saiyad ne phir ye hukm diya
hotho ko see ashko ko pee,aasu na baha fariyad na kar