Kismat Roothi Duniya Chhooti Lyrics | Namak

                        
                        Kismat roothi duniya chooti
Waqt ne sanso ki bagiya luti
Phir bhi milan ki aas natuti
Haye raam kare aisa ho jaaye
Raam kare aisa ho jaaye
Tu mil jaaye chaahe sab kho jaaye
Raam kare aisa ho jaaye

Kar diya jeevan tere hawale
Kaun hai jo tujhe man se nikale
Kar diya jeevan tere hawale
Kaun hai jo tujhe man se nikale
Lipati hai mujhse teri yaade
Mang rahi ho teri murade
Raam kare aisa ho jaaye
Raam kare aisa ho jaaye
Tu mil jaaye chaahe sab kho jaaye
Raam kare aisa ho jaaye
Raam kare aisa ho jaaye

Tere bina kis kaam ka jeena

Jeena jaise jaher ka peena
Tere bina kis kaam ka jeena
Jeena jaise jaher ka peena
Tere liye hi meri wafaye
Hotho pe aayi dil ki duaye
Raam kare aisa ho jaaye
Raam kare aisa ho jaaye
Tu mil jaaye chaahe sab kho jaaye
Raam kare aisa ho jaaye
Raam kare aisa ho jaaye

Jaise dil ke paas ho dhadkan
Tujhse juda hai mera jeevan
Jaise dil ke paas ho dhadkan
Tujhse juda hai mera jeevan
Tere hai hum tere rahenge
Antim dam tak hum yeh kahenge
Raam kare aisa ho jaaye
Raam kare aisa ho jaaye
Raam kare aisa ho jaaye
Raam kare aisa ho jaaye.