Ziddi hai dil sunta nahi
Ke mushkil hai kya x (2)
Behlaun main lakh samjhaun main
Magar dil hatheela kahe
Tum hi iski ho tamanna
Tum hi iski aarzoo
Dil hai mera eak jazeera
Tum samandar jaansu
Dil ka main kya karoon
Main jiyun ya maroon
Kya karoon, kya karoon
Tum kaho kya karoon
Kehta hai yeh dil
Zindagi raat hai aur tum roshni
Rehta hai yeh dil
Khwaabon ki duniya mein jo hai tumse bani
Sehta hai yeh dil
Tum bin ek aisi ruth hai jo tanhai ki
Behta hai yeh dil
Dard ki us nadi mein jo hai beh rahi
Saari majbooriyan pa gayi hai darmiyan
Magar dil hatheela kahe
Tum hi iski ho tamanna
Tum hi iski aarzoo
Dil hai mera eak jazeera
Tum samandar jaansu
Dil ka main kya karoon
Main jiyun ya maroon
Kya karoon, kya karoon
Tum kaho kya karoon
Soya hai yeh dil
Bas tumhare haseen sapnon ki baahon mein
Khoya hai yeh dil
Beete lamhon ko jaati huyi raahon mein
Goya hai yeh dil
Aaj bhi unn mohabbat bhari baaaton mein
Roya hai yeh dil
Yaad karke tumhein chandni raaton mein
Gehri mayusiyan chha rahi hain yahan
Magar dil hatheela kahe
Tum hi iski ho tamanna
Tum hi iski aarzoo
Dil hai mera eak jazeera
Tum samandar jaansu
Dil ka main kya karoon
Main jiyun ya maroon
Kya karoon, kya karoon
Tum kaho kya karoon
Kya karoon, kya karoon
Main kya karoon