roye bagiya roye mali
roye suni suni daali
maya moh chhodkar jogi
dekha gaya raah nirali
phul chala re phulwari se
phul chala re phulwari se
charno me bhagwan ke chadhne
charno me bhagwan ke chadhne
mod ke mukh apni daali se
phul chala re phulwari se
phul chala
jis malan ne pala jatan se
dur na palbhar kiya nayan se
alag hua re aaj wo aise
jaise pran alag ho tan se
pher ke ankhiya dukhiyari se
phul chala re phulwari se
charno me bhagwan ke chadhne
charno me bhagwan ke chadhne
mod ke mukh apni daali se
phul chala re phulwari se
phul chala
na anadhi tufan ka dar hai
na use apne pran ka dar hai
dorahe par rukar dekhe kaha
mere bhagwan ka ghar hai
laagi lagan us banwari se
phul chala re phulwari se
charno me bhagwan ke chadhne
charno me bhagwan ke chadhne
mod ke mukh apni daali se
phul chala re phulwari se