Kis Kaam Ke Math Mandir Masjid Lyrics | Nasbandi

                        
                        kis kaam ke math mandir masjid
kis kaam ke girje gurudware
kis kaam ke math mandir masjid
kis kaam ke girje gurudware
bhagwan ke bete ghar ke bina
bhagwan ke bete ghar ke bina
jab firte hai mare mare
kis kaam ke math mandir masjid
kis kaam ke girje gurudware

dharmo ke pujari bhul gaye
insan ko apne usulo me
pathar ki murat phoolo me
insan pde hai dhoolo me
pathar ki murat pahne hai
poshake resham ke jode
insan pade hai raaho me
kapdo ki jagah kagaj odhe
charcho me chadhti hai shamee
charcho me chadhti hai shamee
insaan ke ghar me andhiyare
kis kaam ke math mandir masjid
kis kaam ke girje gurudware
bhagwan ke bete ghar ke bina
bhagwan ke bete ghar ke bina
jab firte hai mare mare
kis kaam ke math mandir masjid
kis kaam ke girje gurudware

ae sabke khuda ye majhab kya
jo karde juda insaano ko
hum balak hai hum kya jaane
tu gyan de in nadano ko
sajdo me milega kya inko
insan ko ye thukrate hai
insan me hi rahman chhupa
rahman ko ye thukrate hai
kabhi pyar kiya na padosi ko
kabhi pyar kiya na padosi ko
or kashi kaba hai pyare
kis kaam ke math mandir masjid
kis kaam ke girje gurudware
kis kaam ke math mandir masjid
kis kaam ke girje gurudware
bhagwan ke bete ghar ke bina
bhagwan ke bete ghar ke bina
jab firte hai mare mare
kis kaam ke math mandir masjid
kis kaam ke girje gurudware