Duniya Me Jeene Ka Mujhe Shauk Tha Lyrics | Naukri

                        
                        dunia me jine ka mujhe showk tha
khane or pine ka mujhe showk tha
dunia me jine ka mujhe showk tha
khane or pine ka mujhe showk tha
marna bhala kisko manzur tha lekin mai e dost majbur tha
gori hakumat thi kale gulam bacho ye badshaho ke naam
mai khudkhushi kar gaya mai is tarah mar gaya
mai khudkhushi kar gaya mai is tarah mar gaya

kamjor tha ab mai majbut hu tab admi tha mai ab bhut hu
tab ghar se chalte the jhande liye girte sambhalte jhande liye
deshbhagto ki vo toliya sine pe jinke lagi goliya
mai maat se dar gaya mai is tarah mar gaya

vo saye gulami se bhi hai buri kah ti hai dunia jise mufali si
ghar me jarurat ki thi chize na thi patlun thi to kamije na thi
har farz har karz ko chhod kar dariya pe mai aa gaya daud kar
dunia se dil bhar gaya mai dub kar mar gaya
dunia se dil bhar gaya mai dub kar mar gaya

is gam se chati meri fat gayi ye tang bhi jung me kat gayi
maa ka bahut hi dulara tha mai bhai
behan ka bhi pyara tha mai
par pet bharte nahi pyar se nikla mai kuch lene bazar se
to vapas na mai ghar gaya mai dub kar mar gaya