Jai jaikar mata ki aao sharasn bhawani ki
Ek bar fir prem se bolo jai durga maharani ki
Jai durga maharani ki
Pahli devi shail putri hai kiye bail ki swari
Ardhchandar mathe par sohe
Sundar rup manohari
Sundar rup manohari
Liye kamandal phul kamal ke
Or rudrakhsho ki mala
Hui dusri brahamcharini
Kare jagat me ujiyala
Kare jagat me ujiyala
Puran chandarma si nirmal
Devi chandar ghanta mata
Inke sumiran se nirbal bhi
Bairi par hai jai pata
Bairi par hai jai pata
Jai jaikar mata ki aao sharasn bhawani ki
Ek bar fir prem se bolo jai durga maharani ki
Jai durga maharani ki
Chothi devi kushmanda hai inki lila hai nyari
Amrat bhara kalash hai kar me
Kiye bagh ki sawari
Kiye bagh ki sawari
Kar me kamal sinkh parsihasan
Sab ka subh karne wali
Mangal mayi kand mata hai
Jag ka dukh harne wali
Jag ka dukh harne wali
Munni katyani ki ye kanya
Hai sabki katyani ma
Danavta ki shatru or
Manwata ki sukhdayini maa
Manwata ki sukhdayini maa
Jai jaikar mata ki aao sharasn bhawani ki
Ek bar fir prem se bolo jai durga maharani ki
Jai durga maharani ki
Yahi kal ratri devi hai mahaparlay dhane wali
Sab prani ke khane wali
Kal ko bhi khane wali
Kal ko bhi khane wali
Swet bail hai wahan jinka
Tan par swetambar bhata
Yahi maha gori devi hai
Sabki jagdamba mata
Sabki jagdamba mata
Sankh chakkar or gada padam
Kar me dharan karne wali
Yahi sidhi datri mata hai
Ridhi sidhi dene wali
Ridhi sidhi dene wali
Jai jaikar mata ki aao sharasn bhawani ki
Ek bar phir prem se bolo jai durga maharani ki
Jai durga maharani ki.