mere dil me raho ya jigar me raho
mere dil me raho ya jigar me raho
umr bhar tum meri najar me raho
umr bhar tum meri najar me raho
mere dil me raho ya jigar me raho
umr bhar tum meri najar me raho
najar najar najar najar me raho
najar najar najar najar me raho
har subah ankh jis pal ye meri khule
ye do ankhe mera chehra takati mile
nind me so bhi jau mai raato mai jab
ye do ankhe kahi mujhme jagati mile
ye do ankhe kahi mujhme jagati mile
mere shab me raho aur sehar me raho
mere shab me raho aur sehar me raho
mai jaha dekhu tum udhar me raho
mai jaha dekhu tum udhar me raho
mere dil me raho ya jigar me raho
umr bhar tum meri najar me raho
najar najar najar najar me raho
najar najar najar najar me raho
ye nigahe jise dekh le ek dafa
umr bhar utare na uska nasha
chand katro se toh pyas bujhati nahi
tujhko dena padega mujhe maikada
tujhko dena padega mujhe maikada
tum jaha bhi raho, tum jidhar bhi raho
tum jaha bhi raho, tum jidhar bhi raho
par hamesha dil ke ghar me raho
par hamesha dil ke ghar me raho
mere dil me raho ya jigar me raho
umr bhar tum meri najar me raho
najar najar najar najar me raho
najar najar najar najar me raho