Subah Kaa Agaaz Lyrics | Once Upon A Time In Bihar

                        Thi badi der chuppi ab zara awaaz ho
Andheron ke shehar mein subah kaa agaaz ho
Bola kisne chalna, hawa pe mumkin nahi
Falak ko choom lene ka shayad yahi andaaz ho

Umeed ho, ik geet ho, pankh ho, parwaaz ho
Andheron ke shehar mein subah ka agaz ho
Falak ko choom lene ka shayad yahi andaaz ho
Andheron ke shehar mein subah ka agaaz ho

Sapnon ki chita jalke
Kaali si raat ban gayi
Umeed ki thi ghadiyan
Dhadkan si jaisi tham gayi

Sapnon ki chita jalke
Kaali si raat ban gayi
Umeed ki thi ghadiyan
Dhadkan si jaisi tham gayi

Thandi si udti raakh se ek butt naya banana
Thake hue parindon ko aakash mein udaana

Kuchh kar aisa, suraj nikle
Waqt ki kalam se, qismat likh le
Door ho andhiyara aur pathar pighle
Chand ko ghar layein aur suraj nikle

Bhaagna tu chhod apne darr se aazaad ho
Andheron ke shehar mein subah ka aagaaz ho
Falak ko choom lene ka shayad yahi andaaz ho
Umeed ho, ik geet ho, pankh ho, parwaaz ho
Andheron ke shehar mein subah ka aagaaz ho

Falak ko choom lene ka shayad yahi andaaz ho
Andheron ke shehar mein subah ka aagaaz ho
Falak ko choom lene ka shayad yahi andaaz ho
Andheron ke shehar mein subah ka aagaaz ho.