Ye Tune Kya Kiya Lyrics | Once Upon A Time In Mumbai Dobaara

                        
                        Ishq woh bala hai
Ishq woh bala hai
Jisko chhuaa
Isne woh jala hai
Dil se hota hai shuru
Dil se hota hai shuru
Par kambakht
Sar pe chadha hai
Kabhi khud se kabhi khuda se
Kabhi zamaane se lada hai
Itna hua badnaam phir bhi
Har zubaan pe ada hai

Ishq ki saazishein
Ishq ki baaziyaan
Haara main khel ke
Do dilon ka juaa

Kyun tune meri fursat ki
Kyun dil mein itni harqat ki
Ishaq mein itni barqat ki
Ye tune kya kiya

Phiru ab maara maara main
Chaand se bichhda taara main
Dil se itna kyun haara main
Ye tune kya kiya

Saari duniya se jeet ke
Main aaya hoon idhar
Tere aage hi main haara
Kiya tune kya asar

Main dil ka raaz kehta hoon
Ke jab jab saansein leta hoon
Tera hi naam leta hoon
Ye tune kya kiya

Meri baahon ko
Teri saanson ki jo
Aadatein lagi hain waisi
Jee leta hoon ab
Main thoda aur

Meri dil ki ret pe
Aankhon ki jo
Pade parchhai teri
Pee leta hoon tab
Main thoda aur

Jaane kaun hai tu meri
Main naa jaanu ye magar
Jahaan jaaun main
Karoon main wahaan
Tera hi zikar

Mujhe tu raazi lagti hai
Jeeti hui baazi lagti hai
Tabiyat taazi lagti hai
Ye tune kya kiya

Main dil ka raaz kehta hoon
Ke jab jab saansein leta hoon
Tera hi naam leta hoon
Ye tune kya kiya

Dil karta hai teri baatein sunu
Saude main adhoore chunu
Muft ka hua ye faayda
Kyun khud ko main
Barbaad karoon
Fanaa hoke tunhse miloon
Ishq ka ajab hai qaayda
Teri raahon se jo
Guzri hain meri dagar
Main aage badh gaya hoon
Thoda hoke be fikar

Kaho toh kis se marzi loon
Kaho toh kis ko arzi doon
Hansta ab thoda farzi hoon
Ye tune kya kiya
Main dil ka raaz kehta hoon
Ke jab jab saansein leta hoon

Ishq ki saazishein
Ishq ki baaziyaan
Haara main khel ke
Do dilon ka juaa.