baap gaaye thumari aur maa gaaye garbha
jab angana me raas rachaenge ruapiya
ye chandi ka kanhiya ho chhan chhan ruapiya
bhabhi gaaye bhim parladi drupad gaaye bhaiya
jab angana me raas rachaenge ruapiya
ye chandi ka kanhiya ho chhan chhan ruapiya
gol gol ye nagad narayan hove jiske pass
wo sare aalam ka baalam sab jan uske sath
ki duniya naak ragadti krduniya kaan pakadti
ki duniya jhuk jhuk kare salaam
baabuji parnaam sahab ji salaam
seth ji ram ram ram ram
dekh ke sari duniya naache ta ta ta ta thaiya
jab angana me raas rachaenge ruapiya
ye chandi ka kanhiya ho chhan chhan ruapiya
naram naram duniya laage jab garam garam ho jayb
rupaiye ki jhankaar me bhaiya chup jate sab aeb
achcha zara dekh lo ek hai sabat ek hai gayab
ek khuli hai ek hu hu hu
jane saara gaanm inko jaane saara gaanm
par laxmi ki kripa se inka kamalnaian hai naam
are inka kamalnaian hai naam phuti hui hai khopadi
par baat hai inke rokadi safachat sab baal udd gaye ye
ganju ji ganjan hai paisa inki aankh ka anjan
daato ka manjan hai par jeb kare dham dham to
inka naam keshranjan hai inka naam keshranjan hai
ye kagaji jawaan seena taan ke khade hue
ye laxmi ki duniya me heere moti se zade hue
dehradun ke kartoos ye mahlo me rahte
unchi haweli me rahte
isliye sab basti wale hstimal kahte
are inko hstimal kahte
ye murkh kahlaaye gyani ke fuhad kahlaaye raani
ki deepu kahlaaye daani ki ye sab rupye ki maaya
arey bahi wah wah wah wah wah
besuri lugayi bhi kahlati hai suriya
jab angana me raas rachaenge ruapiya
ye chandi ka kanhiya ho chhan chhan ruapiya